Hoo raat ke musafir
Tu bhaagna sambhal ke
Potli mein teri ho
Aag naa sambhal ke
Hoo raat ke musafir
Tu bhaagna sambhal ke
Potli mein teri ho
Aag naa sambhal ke
Raat ke musafir
Chal to tu pada hai,
Faasla bada hai
Jaan le andhere ke
Sar pe khoon chadha hai
Chal to tu pada hai,
Faasla bada hai
Jaan le andhere ke
Sar pe khoon chadha hai
Mukaam khoj le tu,
Makaan khoj le tu
Insaan ke sheher mein
Insaan khoj le tu
Dekh teri thokar se
Raah ka wo pathar
Maathe pe tere kas ke
Lag jaaye naa uchal ke
Hoo raat ke musafir
Tu bhaagna sambhal ke
Potli mein teri ho
Aag naa sambhal ke
Hoo raat ke musafir
Maana ki jo hua hai
Wo tune bhi kiya hai
Inho ne bhi kiya hai
Unhone bhi kiya hai
Maana ki tune haan haan
Chaha nahi tha lekin
Tu jaanta nahi ki
Yeh kaise ho gaya hai
Lekin tu phir bhi sunn le
Nahi sunega koi
Tujhe yeh saari duniya
Khaa jaayegi nigal ke
Tujhe yeh saari duniya
Khaa jaayegi nigal ke
Hoo raat ke musafir
Tu bhaagna sambhal ke
Potli mein teri ho
Aag naa sambhal ke
Hoo raat ke musafir
Tu bhaagna sambhal ke
Potli mein teri ho
Aag naa sambhal ke
Raat ke musafir
Hoo raat ke musafir
Tu bhaagna sambhal ke
Potli mein teri ho aag
Naa sambhal ke, raat ke musafir.
Piyush Mishra
Shilpa Rao
Piyush Mishra, Swanand Kirkire
Piyush Mishra