Roz yeh mausam aaye,
Roj naye rang laye
Tum jo jara muskura do
To ye aur hasin ho jaye
Kaise tumhe samjye
Sari ki sari ki sari fijaaye
Tum jo jara muskura do
To ye aur hasin ho jaye
Dekho ji tum yeh chaand lo,
Taare bhi lo, abb has bhi do
Mausam sabhi maine
Tere aanchal se bandhe hai,
Chalo
Dekho ji tum yeh chaand lo,
Taare bhi lo, abb has bhi do
Bata do abb toh jo uljhan hai,
Kyu khud se khud ki anban hai
Roz yeh mausam aaye,
Roj naye rang laye
Badale na ye mausam bhale,
Phir bhi chalo has dete hai
Har ik ghum chupke se hum,
Jaise bhi ho seh lete hai
Badale na ye mausam bhale,
Phir bhi chalo has dete hai
Jo tune chaaha kiya maine,
Bhulake khud ko jiya maine
Roz yeh mausam aaye,
Roj naye rang laye
Tum jo jara muskura do
To yeh aur hasin ho jaye.
Neeraj Shridhar
Nishant Mudgal
Sunidhi Chauhan
Neeraj Shridhar, Sunidhi Chauhan
Sadhana Sargam, Udit Narayan