Sabhi kuch hai tujhme magar ye kami hai
Ke aankhon me teri murawwat nahin hai
Badi bemurawwat hai duniya ki mahfil
Yahaan hamne dekha muhabbat nahin hai
Sabhi kuch hai tujhme magar ye kami hai
Lagi aag dil me sulagte rahe ham
Jubaan tak na kholi tadapte rahe ham
Lagi aag dil me sulagte rahe ham
Jubaan tak na kholi tadapte rahe ham
Magar hamne seekha hai khaamosh rahna
Muhabbat hai koi tizaarat nahin hai
Sabhi kuch hai tujhme magar ye kami hai
Kiye the kisi ne muhabbat ke waade
Phalak se bhi oonche the kis ke iraade
Kiye the kisi ne muhabbat ke waade
Phalak se bhi oonche the kis ke iraade
Magar aise badle wo jaan dene waale
Ke do baaten sun ne ki fursat nahin hai
Sabhi kuch hai tujhme magar ye kami hai
Ke aankhon me teri murawwat nahin hai
Badi bemurawwat hai duniya ki mahfil
Yahaan hamne dekha muhabbat nahin hai
Sabhi kuch hai tujhme magar ye kami hai.
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Usha Mangeshkar
Asha Bhosle, Chorus
Sharda Rajan Iyengar
Mohammed Rafi, Sharda Rajan Iyengar
Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi