Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Dulhan banaake humko rajaji le jaana
Sab ki baaraatein aayi
Chaaha tha maine, socha tha maine
Kya kya the armaan dil nadaan ke
Aankhon mein aansu aaye
Ho, aankhon mein aansu aaye
Par koi na aaya
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulaana
Sab ki baaraatein aayi
In aankhon mein thi ek raat saji
Haathon mein kabhi choodi si baji
Par aankh khuli to aaya nazar
Na raat saji na choodi baji
Mera toota tha dil, uski jhankar thi
Saara voh rang tha mere khoone dil ka
Yeh to hai rona dil ka
Haan, yeh to hai rona dil ka
Kaahe ka taraana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulaana
Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Dulhan banaake humko rajaji le jaana
Sab ki baaraatein aayi
Aa aah, aa aah, aa aah
Chalo jo bhi hua, voh khoob hua
Ab har koi mehboob hua
Hai sab ke liye yeh raat meri
Ab to hai yehi aukaat meri
Haske bheege palak chamkaana hai
Sooni baahein ada se laheraana hai
Gham khaake aansu peeke
Ho, gham khaake aansu peeke
Mehfil mein gaana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulaana
Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Dulhan banaake humko rajaji le jaana
Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Dulhan banaake humko rajaji le jaana
Sab ki baaraatein aayi
Aa aah.
Alka Yagnik, Kumar Sanu
Alka Yagnik
Anu Malik, Ila Arun, Kamal Khan
Udit Narayan