Suno suno suno ye
Kya kahta hai mausam
Laharo per ye hawa ki sargam
Yahi ki mausam hua jawaa hai
Aaya milan ka madhur
Samaa hai suno suno
Kyu in anjani raho par
Batke rahi aan mile hai
Kyu sawan ne li angdayi
Kyu jivan me phul khile hai
Suno suno suno ye
Badal kyu jhuk aaya
Kyu dharti ka mukh sarmaya
Kyunki ye mausam hua jawa hai
Aaya milan ka madhur
Samaa hai suno suno
Aankho ki jholi me bar lu
Mai barkha ke nirmal moti
Aur saja du un laharo ko
Jinki mere nayan me jyoti
Suno suno suno ye
Man ki manmani kyu
Aaj huyi mai diwani kyu
Kyunki ye mausam hua jawa hai
Aaya milan ka madhur
Samaa hai suno suno.
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Mohammed Rafi