Taqdeer hansi aansoo nikle
Ik thhes lagi dil tut gaya
Ab jeena bhi koi jeena hai
Jab saath kisi ka chhoot gaya
Taqdeer hansi aansoo nikle
Bekaar hai dil ki dhadkan mein
Bekaar hai dil ki dhadkan mein
Aawaaz na do aawaaz na do
Tum door huye majboor hain ham
Milne ka sahaara chhoot gaya
Taqdeer hansi aansoo nikle
Duniya se wafa ki aas nahin
Duniya se wafa ki aas nahin
Aur tum bhi hamaare paas nahin
Us dil ki haalat kya hogi
Jis dil ka chhaala phhoot gaya
Taqdeer hansi aansoo nikle
Ab yaad tumhaari aankhon mein
Ab yaad tumhaari aankhon mein
Aansoo bankar betaab hui
Khaamosh meri fariyaaden hain
Dil baithh gaya jee chhoot gaya
Taqdeer hansi aansoo nikle
Wo aag lagaai duniya ne
Wo aag lagaai duniya ne
Dil apna jal kar khaaq hua
Mitti mein mila di ummeeden
Kismat ka sitaara tut gaya
Taqdeer hansi aansoo nikle
Ik thhes lagi dil tut gaya
Taqdeer hansi aansoo nikle.
G. M. Durrani, Khan Mastana, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Khan Mastana, Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Talat Mahmood
Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Zohrabai Ambalewali
Snehal Bhatkar