Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein doobe hue khat main jalata kaise
Tere haatho ke likhe khat main jalata kaise
Jinko duniya ki nigaahon se chhupaye rakha
Jinko ek umar kaleje se lagaye rakha
Din jinko jinhe imaan banaye rakha
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Jinka har laffaz mujhe yaad paani ki tarah
Yaad the mujhko jo piagam-e-zubaani ki tarah
Mujhko pyaare the jo annmol nishaani ki tarah
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Tune duniya ki nigaahon se jo backar likhe
Saal ha saal mere naam barabar likhe
Kabhi din mein to kabhi raat ko uthakar likhe
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein doobe hue khat main jalata kaise
Tere haatho ke likhe khat main jalata kaise
Tere khat main aaj main ganga mein baha aaya hu
Tere khat main aaj main ganga mein baha aaya hu
Aag behte hue paani mein laga aaya hu.
Chitra Singh (Chitra Dutta)
Jagjit Singh
Jagjit Singh
Jagjit Singh