Tu bhi keh de sanam tu hai mere liye
Mera dil meri jaan sab hain tere liye
Tu bhi keh de sanam tu hai mere liye
Mera dil meri jaan sab hain tere liye
Mere jeevan ki bagiya mein tu hi
Leke hasati bahare hai aayi
Mere jeevan ki bagiya mein tu hi
Leke hasati bahare hai aayi
Jaise aankhon ke palke jhuki hain
Waise mujh pe sanam tu hain chhayi
Baat dil ki jo thi meine keh daali hai
Tere dil mein hain
Kyaa jaane man ye bata
Baat dil ki jo thi meine keh daali hai
Tere dil mein hain
Kyaa jaane man ye bata
Mere dil mein sanam
Tera hi pyaar hain
Tune hi dil liya tu hi dildaar hain
Teri yaadon mein main bhi to sajana
Apni sujh bujh bhulayi hoon baithi
Teri yaadon mein main bhi to sajana
Apni sujh bujh bhulayi hoon baithi
Tujhe kaise batau main dil mein
Kitane sapne sajaye hoon baithi
Pyaar tera hi ab zindagi hain meri
Yahi pooja yahi bandagi hain meri
Pyaar tera hi ab zindagi hain meri
Yahi pooja yahi bandagi hain meri
Bin tere jaane jaa jeena dushwar hain
Mujhe duniya se lena hain kyaa
Tu hain to ye sansaar hain
Apni raahon mein bairi zamana
Dekh deewar banke na aaye
O apni raahon mein bairi zamana
Dekh deewar banke na aaye
Is se darti kahan hain mohabbat
Chahein kitane sitam hum pe dhaye
Hum rahe na rahe
Iska kuch gham nahi
Yeh fasana na apna adhura rahe
Hum rahe na rahe
Iska kuch gham nahi
Ye fasana na apna adhura rahe
Aao milake sanam
Aa le hum ye kasam
Ab na honge judaa kehde
Yeh duniya se hum
Tu bhi keh de sanam tu hai mere liye
Mera dil meri jaan sab hain tere liye.
Kumar Sanu