Tu meri jasoda maiya mai tera govinda
Tu meri jasoda maiya mai tera govinda
Rahe ma beta ek duje ka
Rahe ma beta ek duje ka
Mukh dekh dekh kar zinda
Tu meri jasoda maiya mai tera govinda
Ho ma ke kadam naseeb to
Jannat ki tamana kaun kare
Zinda bhagwan ho samne
Phir patthar ki pooja kon kare
Aulad ko phulo me pale
Khud sez pe soye khari ki
Insano ki kya baat karu
Ma janani hai avtaaro ki
Ma ke upkaro ke aage
Ma ke upkaro ke aage
Bhagwan bhi ho sharminda
Tu meri jasoda maiya mai tera govinda
Aulad ke sukh me sukh pati
Aulad ke dukh me roti hai
Ho put kaput bhale lekin
Mata na kumata hoti hai
Ma ke hote jane kyu hum
Is baat pe karte gor nahi
Mamta ki jagha koi labz nahi
Mata ki tarha koi aur nahi
Zalim se zalim duniya me
Zalim se zalim duniya me
Karte nahi ma ki ninda
Tu meri jasoda maiya mai tera govinda
Tu meri jasoda maiya mai tera govinda
Rahe ma beta ek duje ka
Rahe ma beta ek duje ka
Mukh dekh dekh kar zinda
Tu meri jasoda maiya mai tera govinda.
Mohammed Aziz