Tum agar sath dene kaa vada karo
Mai yu hee mast nagme lutata rahu
Tum mujhe dekh kar muskuratee raho
Mai tumhe dekh kar git gata rahu
Tum agar sath dene kaa vada karo
Mai yu hee mast nagme lutata rahu
Kitne jalwe fijao me bikhare magar
Maine abb tak kisee ko pukara nahee
Tumko dekha toh najrein yeh kehne lagi
Hamko chehre se hatna gavara nahee
Tum agar meree najaro ke aage raho
Mai har ek shaiy se najrein churata rahu
Tum agar sath dene kaa vada karo
Mai yu hee mast nagme lutata rahu
Maine khwabo me barso tarasha jise
Tum vahee sange marmar kee tasvir ho
Tum naa samjho tumhara mukkadar hu mai
Mai samajhta hu tum meree takdir ho
Tum agar mujhko apna samajhane lago
Me baharo kee mehfil sajata rahu
Tum agar sath dene kaa vada karo
Mai yu hee mast nagme lutata rahu
Main akela bahot der chalta raha
Ab safar jindagani ka katata nahi
Jab talak koi rangin sahara na ho
Waqt kafir jawani ka katata nahi
Tum agar humkadam banke chalti raho
Main jami par sitare bichata rahu
Tum agar sath dene kaa vada karo
Mai yu hee mast nagme lutata rahu
Tum mujhe dekh kar muskuratee raho
Mai tumhe dekh kar git gata rahu.
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Mahendra Kapoor
Mahendra Kapoor
Mahendra Kapoor