Uljhano ko de diya hai
Tumne jo mera pata
Toh aa gayi yaha pe
Dekho leke woh bechainiya
Abb tumhi bataao hamko
Dil ko kya bataaye ham
Yeh jo bhi hai woh khwab
Hai ya hai jindagi
Jindagi hai khwab hai
Iska kya jawaab hai
Kyon ulajh gayi ho tum
Yeh sidha sa hisaab hai
Aur apne dil ko bhi
Bataao tum yahi ke yeh
Khwab hi toh jindagi hai
Jindagi hi khwab hai
Kya huwa he abhi toh
Tum vaha aa gaye
Kaise mere vaaste
Manjile dhundhate huye
Yahi ho gaye khatm saare raaste
Jaane kaise raaston
Pe aur yeh kaisi manjilo pe
Aa gaye hain aaj kal
Ke ham jahaan pe ho gaye
Thode thode paaglo se
Yeh bhi sochte nahi
Ke baadlo sa mann
Mera sochta hai kya
Sochne ko sochna
Bada hasin khayaal hai
Khud ko kahna paaglo
Sa khub yeh misaal hai
Apne ko samajh ke bhi
Yeh kuchh bhi na samajhne ki
Teri yahi saadgi toh
Bas tera kamaal hai
Haath mein haath
Leke yu mera bolo kya
Kahna chaahte ho tum
Hu aaya tha kuchh
Abhi khayaal me tumne
Jo bola toh huwa woh gum
Kya woh mere pyaar
Ki jagi jagi si aarjoo thi
Ya woh tha mujhe hi apne
Dil mein rakhne ka iraada
Waada tha koi ke abb
Toh honge ham juda nahi
Ya kahna chaah rahe
The hamse pyaar hai tumhe
Mujhe bhi lag raha hai
Jaise aarjoo hi thi koi
Jo mujhse kah rahi thi
Vaade ka iraada hai koi
Dil mein rakhne ki kisi
Ko aur juda na hone ki
Pyaar hai yeh kahne ki
Ya thi baat woh koi.
Sonu Nigam
Bombay Vikings
Kunal Ganjawala