Yaadon ki album
Main padi kahin
Black and white
Tasveerein hain
Slate pe choti ek
Chalk se kheenchi
Tedhi si medhi si
Lakeeren hain
Zara si dhool hai
Jum gayi wahan
Hata de aaj
Hathoon se ponch ke
Phir nookili kare zara
Purani pencilon ko
Kharoch ke
Oo.oo..
Un raston pe fir
Laut ke chale
Oo.oo..
Le kar woh tej
Nanhi si cyclein
Oo.oo..
Thi zindagi ki
Hui jahan subha
Milti thi jahan
Majedaar toffiyan
Chamkile wraperon
Mein modh ke
Aaj dukaane woh
Khareed le sabhi
Aath-aano char-aano
Ko jod ke
Thode se paise
Jo bach gaye agar
Kyun na khareed
Lein ek patang bhi
Jiski joh man-pasand ho
Chunengein hum patango
Ke rang bhi
Oo.oo..
Un raston pe fir
Laut ke chale
Oo.oo..
Le kar woh tej
Nanhi si cyclein
Oo.oo..
Thi zindagi ki
Hui jahan subha
Phir se..
Imteehano main
Raatein jaag kar
Padh le..
Ek duje ki
Copy mang kar
Chal zara..
Chalein..
Bachpan ke pal
Woh jee lein
Befikar se din vo
Phir zindagi
Se cheenien
Oo.oo..
Un raston pe fir
Laut ke chale
Oo.oo..
Le kar woh tej
Nanhi si cyclein
Oo.oo..
Thi zindagi ki
Hui jahan subha.
Sunidhi Chauhan
Gayatri Ganjawala, Kunal Ganjawala
Nirmatee
Kunal Ganjawala
Kunal Ganjawala