Yeh kaali kaali zulfen or gora gora chehra
Yeh khoyi khoyi aankhen palko ka yeh pehra
Bagaira bagaira bagaira

Bijli mein shokhi hai lekin shan nahi hai
Phulo mein rangat hai lekin jaan nahi hai
Jaan nahi hai
Yeh mehka mehka jalwa sunehra ji sunehra
Yeh mehka mehka jalwa sunehra ji sunehra
Yeh khoyi khoyi aankhen palko ka yeh pehra
Bagaira bagaira bagaira
Hai nadiya ki chaal se achhi chaal tumhari
Ghayal karti dil walo ko surat pyari surat pyari
Yeh jhuki jhuki nazre yeh nasha gehra gehra
Yeh jhuki jhuki nazre yeh nasha gehra gehra
Yeh khoyi khoyi aankhen palko ka yeh pehra
Bagaira bagaira bagaira
O mehabuba is duniya mein lakh hasi hai
Ek se bhad ke ek yaha par
Mahajabi hai mahajabi hai
Yeh dil ka shehajada tumhi pe jake thehra
Yeh dil ka shehajada tumhi pe jake thehra
Yeh khoyi khoyi aankhen palko ka yeh pehra
Bagaira bagaira bagaira
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle, Mohammed Rafi