Unch nich ka pahiya
Karta nirdosho ko chur
O samaj ke theke daro
Yeh kaisa dastur
Chita ki lakdi tan ka dhacha
Dono jal kar rakh huye
Mukt huye wo pran ke jin par
Jurm tumhare lakh huye
Janam diya jis maa ne
Usne bhi upkar kiya
Usse badi maa wo hai
Jisne maa ka pyar diya
Is duniya mein sabko pyari
Apni hi santan hai
Begano ko apna mane
Uska pyar mahan hai
Janam diya jis maa ne
Usne bhi upkar kiya
Usse badi maa wo hai
Jisne maa ka pyar diya
Kichad mein ho ya kyari mein
Kichad mein ho ya kyari mein
Phul to aakhir phul hai
Kisi phul ko nich samjhna
Yeh mali ki bhul hai
Janam diya jis maa ne
Usne bhi upkar kiya
Usse badi maa wo hai
Jisne maa ka pyar diya
Jo na bigad kar ban sakti
Ho aisi koi baat nahi
Ek bhi dil mein jab tak mamta
Balak koi anath nahi
Balak koi anath nahi
Janam diya jis maa ne
Usne bhi upkar kiya
Usse badi maa wo hai
Jisne maa ka pyar diya.
Lata Mangeshkar
Noor Jehan
Noor Jehan
Noor Jehan
Noor Jehan
Lata Mangeshkar