Manzilo ko rasto se jodna hoga
Raste bhatke jo saare hai
Ab toh turfo ko palatkar dekhna hoga
Kitne ghar usne ujaade hai
Aur na seh payenge, aise na reh payenge
Aur na seh payenge, aise na reh payenge
Dubenge ya paar jayenge
Tujhe ilzam na denge, tujhe ilzam na denge
Tujhe ilzam na denge ae khuda
Ilzam na denge, tujhe ilzam na denge
Tujhe ilzam na denge ae khuda
Kaisi lachari re aaj hamari re
Lut gayi aankho ke aage duniya hamari re
Kaise ji payenge, kaise khud ko samjhayenge
Aag lagi hai man me kaise bujhayenge
Bebaso ki bhid se ab hum nikalne ke
Raste khud hi banayenge
Aur na seh payenge, aise na reh payenge
Dubenge ya paar jayenge
Tujhe ilzam na denge, tujhe ilzam na denge
Tujhe ilzam na denge ae khuda
Aa gaye hai hum kaha, ye zami ye aasma
Sab hume aankhe dikhate hai
Bairi hai sara jahan jaye to jaye kaha
Soch kar hum seham jaate hai
Phir bhi ummido ka thame hath hum apni
Soi kismat ko jagaayenge
Aur na seh payenge, aise na reh payenge
Dubenge ya paar jayenge
Tujhe ilzam na denge, tujhe ilzam na denge
Tujhe ilzam na denge ae khuda
Ilzam na denge, tujhe ilzam na denge
Tujhe ilzam na denge ae khuda.