Aaj hai do october ka din
Aaj ka din hai bada mahan
Aaj ke din phool khile hai
Jinse mahka hindustan
Nam ek ka bapu gadhi
Or ek lal bahadur hai
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Bapu jisne manwata ka
Dunia ko sandesh diya
Bagdor bharat ki sambhali
Nehru ko adesh diya
Lal bahadur jisne hamko
Garw se jina sikhlaya
Sach pucho to geeta ka
Adhyaya usine dohraya
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Vishwa shanti ke hit me dekho
Surviro ne kiye hai tyag
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Mere munne do october ke
Subh din hi tu janma
Meri yahi dua hai ki
Un jaisa hi tu banna
Or un jaisa na ban apye
To fir itna karna
Kam se kam unke batalaye
Raste pe hi tu chalna
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Tumpe dunia naj karegi
Tu hai un veero ki shan
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Aaj hai do october ka din
Aaj ka din hai bada mahan
Aaj ke din phool khile hai
Jinse mahka hindustan
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan.
Asha Bhosle
Kishore Kumar
Asha Bhosle
Lata Mangeshkar, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Hemanta Kumar Mukhopadhyay, Lata Mangeshkar
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Usha Timothy
Anandji Virji Shah, Gulshan Sufi
Mahendra Kapoor
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor