Aaj rota hai kyu aaj rota hai kyu
Aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
Julm dhata raha muskurata raha
Jaal har raste me bichhata raha
Phas gaya khud to bechain hota hai kyu
Aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
Phul tera bhi khilne na paye
Baddua di hai baago ne tujhko
Phul tera bhi khilne na paye
Baddua di hai baago ne tujhko
Bhar diya zindagi me andhera
Ye saza di hai chirago ne tujhko
Tu jo har roshani ko bhujhta raha
Jaal har raste me bichhata raha
Phas gaya khud to bechain hota hai kyu
Aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
Reham ki bhikh duniya na tujhko degi
Tujhko duniya pe kab reham aaya
Reham ki bhikh duniya na tujhko degi
Tujhko duniya pe kab reham aaya
Pad gaya jis pe tera saya
Dil kabhi wo dhadkane na paya
Hasne walo rona shikhata raha
Jaal har raste me bichhata raha
Phas gaya khud to bechain hota hai kyu
Aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu
Tujhse pahele bhi guzare hai zalim
Unka anjam socha to hota
Tujhse pahele bhi guzare hai zalim
Unka anjam socha to hota
Dhup kab tak julm ki rahegi
Aaye gi shyam socha to hota
Kaise kaise tu zulm dhata raha
Jaal har raste me bichhata raha
Phas gaya khud to bechain hota hai kyu
Aaj rota hai kyu jaan khota hai kyu.
Lata Mangeshkar