Aman kaa farishtaa kahaan jaa rahaa hai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Aman kaa farishtaa kahaan jaa rahaa hai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Kiyaa kaam aisaa ki halachal machaa di
Ye duniyaa jahannum thi jannat banaa di
Ye duniyaa jahannum thi jannat banaa di
Khichi aa rahi hai saari khudaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Na ujdegi duniyaa kisi bhi dulhan ki
Na roegi raakhi kisibhi bahen ki
Na roegi raakhi kisibhi bahen ki
Juda ab na hoga bhai se bhai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Bahut der jaagaa thaa soyaa huaa hai
Aman ke khyaalo me khoyaa huaa hai
Aman ke khyaalo me khoyaa huaa hai
Ye kaisi muhabbat ye kaisi judaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Ye jivan ki mazil pe chhutaa hai hamase
Koii to manaao ye ruthaa hai hamase
Koii to manaao ye ruthaa hai hamase
Nazar mere baabu ko kisane lagaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Aman kaa farishtaa kahaan jaa rahaa hai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai.
Lata Mangeshkar
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi, Saira Banu