Aankhon se jo utri hai dil mein
Aankhon se jo utri hai dil mein
Tasweer hai ek anjaane ki
Khud dhoondh rahi hai shamaa jise
Kyaa baat hai us parwaane ki
Aankhon se jo utri hai dil mein …
Wo uske labon par shokh hansi
Wo uske labon par shokh hansi
Rangeen sharaarat aankhon mein
Saanson mein mohabbat ki khushboo
Vo pyaar ki dhadkan baaton mein
Duniyaa meri badal gayi
Banke ghataa nikal gayi
Taubaa wo nazar mastaane ki
Khud dhoondh rahi hai shamaa jise
Kyaa baat hai us parwaane ki
Aankhon se jo utri hai dil mein …
Andaaz wo uske aane kaa
Andaaz wo uske aane kaa
Chupke se bahaar aaye jaise
Kahne ko ghadi bhar saath rahaa
Par umar guzaar aaye jaise
Unke binaa rahoongi nahin
Kismat se ab jo kahin mil
Jaaye khabar deewaane ki
Khud dhoondh rahi hai shamaa jise
Kyaa baat hai us parwaane ki
Aankhon se jo utri hai dil mein
Tasweer hai ek anjaane ki
Khud dhoondh rahi hai shamaa jise
Kya baat hai us parwaane ki
Aankhon se jo utri hai dil me
Hmmm aahaaa haa
Hmmm aahaaa haa
Hmmm aahaaa haa..
Asha Bhosle
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Usha Mangeshkar
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi