Are jab aankh se aankh mile to
Mulakat hoti hai
Aur jab sawan se badal mile to
Barsat hoti hai
Subha se sham mile to
Phir raat hoti hai
Aur jab rahu se ketu mile to
Are koi baat hoti hai
Jaise dil se diwano ka
Jaise dil se diwano ka
Shama se parwano ka
Mast se mastano ka
Aise tera mera nata hai zara pehchaan
Mai hu tera prem aur tum ho mere pran
Mai hu tera prem aur tum ho mere pran
Jaise bijli se badal ka
O jaise bijli se badal ka
Aankho se kajal ka
Ghungru se payal ka
Aiserahu ketu ka nata hai pahchan
Tum ho mere prem aur mai tera pran
Mai hu tera prem aur tum ho mere pran
Are tu jo mere sath hai
Tu jo mere sath hai to duniya apne hath hai
Kar nahi sakte jise hum kon si wo baat hai
Hum jo chahe to chand ki chhati pe
Andhere bichha sakte hai
Hum jo chahe to shabnam ki aankho se
Shole ki rah chalte hai
Pathar ke sine se rait ke kaleje pe
Kashti chala sakte hai
Duniya ne humko
Duniya ne humko pahchana nahi hai
Samjha nahi uar jana nahi hai
Chahe kahe sadhu aur chahe kahe beman
Mai hu tera prem aur tum ho mere pran
Tum ho mere prem aur mai tera pran
Ho tere kurban
Are bure hai ya nek hai
Andar se dono ek hai
Andar se dono ek hai
Duniya jisko jan saki na
Aise kam anek hai
Are aise kam anek hai
Wafadaro ke liye hum to wafa hai
Ha ha wafa hai
Sazawaro ke liye hum to saza hai
Ha ha saza hai
Are dushman ke liye hum to
Kaza hai kaza hai kaza hai
Khudi pe aa jaye to hum bhi
Khuda hai khuda hai khuda hai
Hamare sang hai hajar
Ke hum hai do dhari talwar
Hamari apni hai sarkar
Hamara apna karobar
Kisi ka karte beda par
Kisi ka kar de banta dar
Rahu ketu hai do yaar
Ke jinki lila aprampar
Jinki lila aprampar
Are duniya se hum to
Duniya se hum to nirale hai dono
Nirale matwale dilwale hai dono
Hamare ishare pe chalta jaha
Mai hu tera prem aur tum ho mere pran
Tum ho mere prem aur mai tera pran
Mai hu tera prem aur tum ho mere pran.
Asha Bhosle