Bahut khubsurat hai
Aankhe tumhari
Agar ye kahi mushkurade
To kya ho
Lagi hai yuhi aag
Dil mein tumhare
Hum ek or bijli girade
To kya ho
Bahut khubsurat hai
Aankhe tumhari
Isharo se chhede ke
Haskar sataye
Hasi hai mohabbat ki
Saari khataye
Isharo se chhede ke
Haskar sataye
Hasi hai mohabbat ki
Saari khataye
Tumhari khatao ko
Hum jante hai
Khatao se pahle
Saja de to kya ho
Bahut khubsurat hai
Aankhe tumhari
Jo paas aa gaye ho to
Daman na chhuna
Kahi shokh dil ka
Na ho jaye duna
Jo paas aa gaye ho
To daman na chhuna
Kahi shokh dil ka
Na ho jaye duna
Mohabbat mein
Ye kaid ye shart kaisi
Koi shart hum bhi
Laga de to kya ho
Lagi hai yuhi aag
Dil mein tumhare
Nigaho se chhota sa
Paygam de do
Tadapte hue dil ko
Aaram de do
Nigaho se chhota sa
Paygam de do
Tadapte hue dil ko
Aaram de do
Abhi se ye alam hai
Betabiyo ka
Jo thoda bahut aasara
De to kya ho
Bahut khubsurat hai
Aankhe tumhari
Agar ye kahi mushkurade
To kya ho.
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mohammed Rafi
Mahendra Kapoor
Mohammed Rafi, Talat Mahmood
Mubarak Begum