Kuchh sher sunata hun main
Kuchh sher sunata hun main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Seekhi hai tumse phool ne
Hansne ki har adaa
Seekhi hawaa ne tumse hi
Chalne ki har adaa
Aaina tumko dekh ke
Hairaan ho gaya
Ek bezubaan tumse
Pashemaan ho gaya
Kitni bhi taareef karoon
Rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunata hun main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Haathon ka loch ras bhari
Shaakhon ki daastaan
Naazuk hatheliyon pe wo
Mehandi ka gulsitaan
Pad jaaye tumpe dhoop to
Sanwlaaye gora tan
Makhmal pe tum chalo to
Chhilen paaon gulbadan
Kitni bhi taareef karoon
Rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunata hun main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Aankhen agar jhuken to
Mohabbat machal uthhen
Nazren agar uthen to
Qayaamat machal uthhe
Andaaz main huzoor ka
Saani nahin koyi
Dono jahaan mein aisi
Jawaani nahin koyi
Kitni bhi taareef karoon
Rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunata hun main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai
Ye unse mukhaatib hain.
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi