Khuskismat hain wo jisko
Is kaid se mili rihayi unko vidayi dedo
Achank apni aankh hain bhar aayi
Yaad aayi yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Yaad aayi yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Kal ki zindagani phir yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Yaad aayi yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Ma ki kokh se janam
Liya to sache insan the hum
Wo din bhi kya din yaro
Jab achhe insan the hum
Chota sa ek ghar tha apna
Aankho mein tha kya kya sapna
Mehant kiĀ roti khate the
Phir sukh chain se sojate the
Ek din vakat ne karvat badli
Ek pal me ye duniya badli
Julm sitam se chur huye hum
Kuch aise majbur huye hum
Julrm ki in raho par aaye
Aaye to phir lot na paye
Kismat ne ye din dikhlaye
Mujarim banke jail mein aaye
Yaad aayi yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Kal ki zindagani phir yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Juram tha apna apne karn
Apne sab badnam huye
Sath hamare un sab ke bhi
Sab sapne nilam huye
Kya sapne kya duniya thi
Mamta ki murat ek ma thi
Jan se pyari thi ek
Bahna uske liye the zinda rhna
Bahna ka the byah rachana
Doli ko kanda tha lagana
Davar magar barat na aayi
Wo bahna rah gayi anbyahi
O jane wo kis hal mein hogi
Jali chitaye apne sapno ki
Uske bina mar mar jita hoon
Khun ke aansu ab peeta hoon
Yaad aayi yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Kal ki zindagani phir yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi
Yaad aayi yaad aayi
Bhuli wo kahani phir yaad aayi.
Mohammed Aziz