Doli uthegi aaj teri behna
Chalkenge haye nain hamare
Doli uthegi aaj teri behna
Chalkenge haye nain hamare
O bhaiya chup chup roye
Maiya chup chup roye
Aashu behte hai kaise
Nadiya ke dare
Doli uthegi aaj teri behna
Chalkenge haye nain hamare
Pehle dil ka khun pilakar
Ghar mein beti palo
Pehle dil ka khun pilakar
Ghar mein beti palo
Phir ye dil ka tukda khud hi
Gair ki doli dalo
Rabba teri duhai
Kaisi reet banai
Sabki palko se tute aaj sitare
Doli uthegi aaj teri behna
Daulak baje angana mein
Darwaje per sahnai
Daulak baje angana mein
Darwaje per sahnai
Babul ka ghar chod ke
Jana hoga ghadi ab vo aayi
O tera bhai ye sada
Tujhe deta hain dua
Uche aur bhi ho
Tere mahal chubare
Doli uthegi aaj teri behna
Jate jate bahan ko bole
Bhaiya gale laga ke
Jate jate bahan ko bole
Bhaiya gale laga ke
Saas sasur ki seva karna
Sajan ke ghar ja ke
Sabko apna banana
Sabse pyar nibhana
Aise rehna ke har
Koi aarti uthare
Doli uthegi aaj teri behna
Chalkenge haye nain hamare
O bhaiya chup chup roye
Maiya chup chup roye
Aashu behte hai
Kaise nadiya ke dare
Doli uthegi aaj teri behna
Chalkenge haye nain hamare.
Mohammed Aziz, Pankaj Udhas