Bina sifaarish miley naukri
Bin rishwat ho kaam
Arre isi ko anhoni kehte hain
Isi kaa kaljug naam
Watan ka kya hoga anjaam
Bachaa le ae maula ae raam
Watan ka kya hogaa anjaam
Bachaa le ae maula ae raam
Bachaa le ae maula ae raam
Bachaa le ae maula ae raam
Watan ka kya hoga anjaam
Bachaa le ae maula ae raam
Rishwat par chalte thhe chakkar
Chhote hon ya mote
Band huyee ye rasm to
Dhandhe ho jaayenge khote re
Dhandhe ho jaayenge khote
Ghar ghar mein maatam hoga
Daftar daftar kohraam
Bachaa le ae maula ae raam
Watan ka kya hoga anjaam
Bachaa le ae maula ae raam
Yahi chalaa gar dhang to yaaron
Honge burey nateeje
Bhookhe marenge netaaon ke
Bete aur bhateeje
Marenge bete aur bhateeje
Jitni izzat bani thhi ab tak
Sab hogi neelaam
Bachaa le ae maula ae raam
Watan ka kya hoga anjaam
Bachaa le ae maula ae raam
Rishwat se munh band thhe sabke
Ab phootenge bhaande
Arre pataa chalegaa kiske
Kiske miley hue the daande
Kaun sa theka lekar kisne
Kitnaa maal banaaya
Kitni ujrat di logon ko
Kitnaa dil dukhlaaya
Kaun si file kis daftar se
Kaise ho gayee chori
Kisne kitni gaddari ki
Kitni bhari tijori
Kis mil maalik ke paise ne
Kitne vote kamaaye
Arre kursi mili to
Desh bhagat ne kitne note kamaaye
Rishwat se hi chhupe hue
Thhe sab kaale kartoot
Nange hokar saamne aayenge
Ab sabhi saboot
Duniyaa bhar ke mulkon mein
Hogaa bhaarat badnaam
Bachaa le ae maula ae raam
Watan ka kya hoga anjaam
Bachaa le ae maula ae raam
Bachaa le ae maula ae raam
Bachaa le ae maula ae raam
Watan ka kya hoga anjaam
Bachaa le ae maula ae raam.
Mohammed Rafi
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Mahendra Kapoor, S.Balbir
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor