Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Na jaane pyar mein kab
Main zubaan se phir jaaun
Main ban ke aansoo khud
Apni nazar se gir jaaun
Teri kasam hai mera
Koi aitbaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Main roz ek nai raah takta hoon
Main roz ek naye
Gham ki aah takta hoon
Kisi khushi ka mere
Dil ko intezaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Garib kaise mohabbat
Kare ameeron se
Bichhad gaye hain kai
Raanjhe apni heeron se
Kisi ko apne muqaddar
Pe ikhtiyaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Khiza ke phool pe
Aati kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi.
Lata Mangeshkar
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar