Jab duhkh ki ghadiyaan aaye
Sach par jhuth vijay paae
Is nirmal paavan man par
Jab kalank ke ghan chhaaye
Anyaayo ki aandhi se
Kaan uthe jab tere dol
Tab manav to mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
Tab manav to mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
Dhammam saranam gachchhaami
Sagham saranam gachchhaami
Jab duniya se pyaar uthe
Jab duniya se pyaar uthe
Nafarat ki divaar uthe
Maa ki mamta par jis din
Bete ki talawaar uthe
Dharati ki kaayaa kaanpe
Ambar dagamag uthe dol
Tab manav tu mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
Tab manav tu mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
Dur kiyaa jis ne janjan ke
Vyaakul man kaa andhiyara
Jisaki ek kiran ko chhukar
Chamak uthaa ye jag sara
Dip satya kaa sada jale
Dayaa ahinsaa sada phale
Sukh shaati ki chhaya me
Jan gan man kaa prem pale
Bhaarat ke bhagawaan
Buddha kaa gunje
Ghar ghar matr amol
He manav nit mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
He manav nit mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
Ruth gayaa jab sun ne wala
Kis se karun pukaar
Pyaar kahaan pahachaan saka ye
Ye nirday sansaar
Nirdayataa jab le le dhaam
Daya hui ho antardhyaan
Jab ye chhotaa saa insaan
Bhul rahaa apna bhagavaan
Satya teraa jab ghabaraae
Shradha ho jab daanvaadol
Tab manav tu mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami
Tab manav tu mukh se bol
Buddham saranam gachchhaami.
Lata Mangeshkar, Meena Kapoor
Aarti Mukherji
Lata Mangeshkar, Meena Kapoor, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)