Chal pade hum
Kya thikaanasocha nahi
Manzil pata hai
Rasta kahaan socha nahi
Bas chal diye zid hai yeh
Aankhon mein sapne bhar liye
Aage hi aage bas chal diye
Chal pade hum
Kya thikaana socha nahi
Manzil pata hai
Rasta kahaan socha nahi
Raaste yeh saath chalte
Tedhi medhi zindagi ke
Yaadein bhi hain puraani
Aane waale pal khushi ke
Raaste yeh saath chalte
Tedhi medhi zindagi ke
Yaadein bhi hain puraani
Aane waale pal khushi ke
Sochta hai mann yeh mera
Aasmaan mein udna chahe
Choona chahe chaand taare
Sapne dekhe kitne saare
Chalte chalte rukna kahaan
Socha nahi
Bas chal diye zid hai yeh
Aankhon mein sapne bhar liye
Aage hi aage bas chal diye
Zindagi ke is safar mein
Rang dekho kitne saare
Khushiyaan chun lo jitni milti
Phir na honge yeh nazaare
Zindagi ke is safar mein
Rang dekho kitne saare
Khushiyaan chun lo jitni milti
Phir na honge yeh nazaare
Ashaaon ki dor pakde
Mann mein itna zor karle
Muskura ke khil-khila ke
Aandhi toofaan se guzar le
Pankh mil gaey
Udna kahaansocha nahi
Behte behte thamna kahaan
Socha nahi
Bas chal diye zid hai yeh
Aankhon mein sapne bhar liye
Aage hi aage bas chal diye
Chal pade hum
Kya thikaana socha nahi
Manzil pata hai
Rasta kahaan socha nahi.
Kailash Kher
Shreya Ghoshal
Abhilasha Chellum, Ali Sher
Lata Mangeshkar
Rahat Nusrat Fateh Ali Khan