Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Dil me yado ke nastar se tuta kiye
Ek tamanna kaleja masalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Badnasibi sarafo ke dusman bani
Saj sawar ke bhi dulhan na dulhan bani
Tika mathe pe ek dag banta gaya
Mehandi hatho se shole ugalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Dil me yado ke nastar se tuta kiye
Ek tamanna kaleja masalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Khwab palko se firkar fanah ho gaye
Do kadam chalke tum bhi juda ho gaye
Mere har ek hasi aankh se rat din
Ek nadi aasuo ki ubalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Subah mangi to gum ka andhera mila
Mujhko rot sisakta sawera mila
Mai ujalo ki nakam hasrat ke liye
Umar bhar mom banke pighalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Chand yado ki parchaiyo ki siwa
Kuch bhi paya na tanhayiyo ke siwa
Waqt meri tabahi pe hasta raha
Rang takdir kya kya badalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi
Dil me yado ke nastar se tuta kiye
Ek tamanna kaleja masalti rahi
Chand apna safar khatam karta raha
Shama jalti rahi rat dhalti rahi.
Shamshad Begum
Shamshad Begum
Shamshad Begum
G. M. Durrani, Shamshad Begum
Shamshad Begum
Shamshad Begum, Zohrabai Ambalewali
Hamida Banu, Shamshad Begum
Shamshad Begum
Vijay Dutt
Shamshad Begum
Suman Kalyanpur
Suman Kalyanpur
Mohammed Rafi
Suman Kalyanpur
Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lata Mangeshkar
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Suman Kalyanpur
Usha Khanna
Anwar Rafi, Hariharan
Asha Bhosle, Lata Mangeshkar