Chehara Chhupa Liya Hai Kisine - Nikaah lyrics | Nikaah - Chehara Chhupa Liya Hai Kisine lyrics

Chehara Chhupa Liya Hai Kisine is a hindi song from the 1982 movie Nikaah. Chehara Chhupa Liya Hai Kisine singers are Asha Bhosle, Mahendra Kapoor, Salma Agha. Chehara Chhupa Liya Hai Kisine composer is Ravi Shankar Sharma (Ravi) and Chehara Chhupa Liya Hai Kisine lyricist or song writer is Hasan Kamal. Chehara Chhupa Liya Hai Kisine music director is Ravi Shankar Sharma (Ravi). Chehara Chhupa Liya Hai Kisine features Raj Babbar, Deepak Parashar, Salma Agha. Chehara Chhupa Liya Hai Kisine director is and the producer is . The audio of Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song was released on 24th September, 1982 by Saregama. Chehara Chhupa Liya Hai Kisine YouTube video song can be watched above.


Chehara chhupa liya hai
Kisine hijaab me
Chehara chhupa liya hai
Kisine hijaab me
Are ji chaahata hai aag
Laga du nakaab me


Bijali thi ik jo hamne
Chhupa li nakaab me
Bijali thi ik jo hamne
Chhupa li nakaab me
Are lag jaati warna aag
Tumhaare shabaab me


Ham husn ke parvaane
Jalane se na darate
Anjaame mohabbat ki
Parvaah nahi karte
Ik baar hi dete hain
Dil apna hasino ko
Ik baar hi marte hain
Sau baar nahi marte


Parvaane se pehele jali
Aur parvaane ke saath jali
Woh toh jala bas pal do
Pal shama toh saari raat jali
Ek parvaana jala kis
Kadar shor macha
Ek parvaana jala kis
Kadar shor macha
Shama chup chaap jali
Lab pe shikwa naa gila
Shama chup chaap jali
Lab pe shikwa naa gila
Kya hai jalane kaa maja
Husn se puchho jara
Kya hai jalane kaa maja
Husn se puchho jara kyu ke
Parvaane ko jal jaana
Hamne hi sikhaaya hai
Woh tab hi jala hamne
Jab khud ko jalaaya hai
Aashik ki jaan ishk me
Jaane se peshkar
Aashik ki jaan ishk me
Jaane se peshkar
Are khud husn dubata
Hai wafa ke chanaab me


Gar husn nahi hota yeh
Ishk kaha hota
Phir kis se wafa karte
Phir kis kaa wafa hota
Takraar se kya haasil
Kuchh bhi naa huwa hota
Takraar se kya haasil
Kuchh bhi naa huwa hota
Gar tum naa hasin hote
Gar mai naa jawaan hota


Jis roj se iss husn
Kaa didaar kiya hai
Bas pyaar kiya pyaar
Kiya pyaar kiya hai
Yeh jhuth hai ke tumne
Hame pyaar kiya hai
Hamne tumhe julfo
Me girftaar kiya hai
Jis roj se iss husn kaa
Didaar kiya hai
Bas pyaar kiya pyaar
Kiya pyaar kiya hai
Yeh jhuth hai ke tumne
Hame pyaar kiya hai
Hamne tumhe julfo me
Girftaar kiya hai


Tum husn ho ham ishk hain
Gar tum tum nahi toh ham nahi
Hai baat sachchi bas yahi
Koyi kisi se kam nahi
Ek naghma hai ek raag hai
Dono taraf ek aag hai
Tum se hame shikwa bhi hai
Phir bhi tumhi se pyaar hai
Tum bin hame kab chain
Hamko bhi yeh ikraar hai
Dekhe toh hosh gum ho
Naa dekhe toh hosh gum
Yeh phans gayi hai jaan
Meri kis adab me
Bijali thi ik jo hamne
Chhupa li nakaab me
Are lag jaati warna aag
Tumhaare shabaab me
Lag jaati warna aag tumhaare
Shabaab me aaa aaaa aaa.



Movie/album: Nikaah
Singers: Asha Bhosle, Mahendra Kapoor, Salma Agha
Song Lyricists: Hasan Kamal
Music Composer: Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Director: Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label: Saregama
Starring: Raj Babbar, Deepak Parashar, Salma Agha
Release on: 24th September, 1982
1. Who is the music director of the song Chehara Chhupa Liya Hai Kisine
Ans: Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song music director is Ravi Shankar Sharma (Ravi)
2. Who is/are the singer/singers of the song Chehara Chhupa Liya Hai Kisine
Ans: Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song singers are Asha Bhosle, Mahendra Kapoor, Salma Agha
3. Who is the Composer of the song Chehara Chhupa Liya Hai Kisine
Ans: Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song composer is Ravi Shankar Sharma (Ravi)
4. Who is the Lyricist of the song Chehara Chhupa Liya Hai Kisine
Ans: Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song lyricist is Hasan Kamal
5. What is the movie of the song Chehara Chhupa Liya Hai Kisine
Ans: Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song is from Nikaah
6. Who wrote the song Chehara Chhupa Liya Hai Kisine
Ans: Chehara Chhupa Liya Hai Kisine song is written by Hasan Kamal

Find other songs in - Nikaah

1
Dil Ki Ye Aarzoo Thi

Mahendra Kapoor, Salma Agha

2
Abhi Alavidaa Mat Kaho

Mahendra Kapoor

3
Chupke Chupke Raat Din

Ustad Ghulam Ali