Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Khud nachati hain
Sabko nachati hain rotiya
Nachati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Budha chalaye thele
Ko phako se jhul ke
Bachha uthaye bojh
Khilauno ko bhul ke
Bachha uthaye bojh
Khilauno ko bhul ke
Dekha naa jaye jo
Dekha naa jaye jo
So dikhati hain rotiya
Dikhati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Baithi hai jo chehare
Pe mal ke jigar kaa ku
Duniya bura kahe inhe
Par mai toh yeh kahu
Duniya bura kahe inhe
Par mai toh yeh kahu
Kothe pe baith o
Kothe pe baith
Aankh ladati hain rotiya
Ladati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Kehta tha ik fakir
Ki rakhna jara nazar
Roti ko aadmi hi
Nahi khate bekhabar
Roti ko aadmi hi
Nahi khate bekhabar
Aksar toh aadmi ko
Aksar toh aadmi ko bhi
Khati hain rotiya
Khati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Tujhko pate ki bat
Batau mai janeman
Kyu chand par pahunchane ki
Insan ko hai lagan
Kyu chand par pahunchane ki
Insan ko hai lagan
Insan ko chand me
Insan ko chand me
Nazar aati hain rotiya
Nazar aati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya
Khud nachati hain
Sabko nachati hain rotiya
Deewana aadmi ko
Banati hain rotiya.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi