Dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Baithhe rahen
Tasawwur-e-jaanaa kiye huye
Dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhtaa hai phir wahie
Jaadon ki narm dhoop
Aur aangan mein let kar
Jaadon ki narm dhoop
Aur aangan mein let kar
Aankhon pe kheench
Kar tere daaman ke saaye ko
Aankhon pe kheench
Kar tere daaman ke saaye ko
Aundhe pade rahen
Kabhi karwat liye huye
Dil dhoondhtaa hai
O dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhtaa hai phir wohi
Yaa garmiyon ki raat
Jo purwaayiaan chale
Yaa garmiyon ki raat
Jo purwaayiaan chale
Thhandi shafed chaadaron
Pe jaagen der tak
Thhandi shafed chaadaron
Pe jaagen der tak
Taaron ko dekhte rahen
Chhat par pade huye
Dil dhoondhtaa hai
O dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhtaa hai phir wohi
Barfeeli sardiyon mein
Kisi bhi pahaad par
Barfeeli sardiyon mein
Kisi bhi pahaad par
Waadi mein goonjti
Huyi khaamoshiyaan sunen
Waadi mein goonjti
Huyi khaamoshiyaan sunen
Aankhon mein bheege
Bheege se lamhe liye huye
Dil dhoondhtaa hai
O dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Baithhe rahen
Tasawwur-e-jaanaa kiye huye
Dil dhoondhtaa hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhtaa hai phir wahi.
Bhupinder Singh
Asha Bhosle
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Shreya Ghoshal, Sonu Nigam
Shreya Ghoshal
Mika Singh, Pankaj Kapoor
Hard Kaur, Tochi Raina
Hans Raj Hans
Karsan Sagathia
Ustad Rashid Khan
Shahid Mallya