Ai duniya ke maan baap suno ye
Desh hai kishan kanhaiya ka
Ye bhumi vahi hai pyaar jahaan
Lutata tha jashoda maiya ka
Lekin is desh me hi ab to
Aise bhi abhage hote hai
Maan baap ke hote huye bhi
Jo hansane ki umar me rote hai
Dukhiyon pe kuchh raham
Karo maan baap humare
Bhule ho jinhe hum wahi
Bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham
Karo maan baap humare
Bhule ho jinhe hum wahi
Bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham karo
Hum hai wo diye ruth
Gayi jin se diwaali
Hum hai wo diye ruth
Gayi jin se diwaali
Wo phool hai jinase
Yahaan naraz hai maali
Hum wo hai jo pyaase
Rahe ganga ke kinare
Bhule ho jinhe hum wahi
Bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham karo
Ho
Jo ho sake tumase to
Zara pyaar hume do
Jo ho sake tumase to
Zara pyaar hume do
Hum ro rahe hai hansane
Ka adhikaar hume do
Pyaar hume do
Aangan me tumhare
Hai khade haath pasare
Bhule ho jinhe hum wahi
Bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham karo
Maiya zara ek baar
Hume paas bula lo
Maiya zara ek baar
Hume paas bula lo
Baapu hume sansaar ki
Aandhi se bacha lo
Tumako humari aankh
Ka har aansu pukare
Bhule ho jinhe hum wahi
Bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham
Karo maan baap humare
Bhule ho jinhe hum wahi
Bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham karo.
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)