Jo bin paise ke ho jaye
Mohabbat usko kahte hai
Bina paise ke ulfat ho to
Lanat usko kahte hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai
Tujhe bhi ulfat paise ki hai
Yahi to sara lafda hai
Paisa izzat paisa takat paisa din iman
Paise se insan bane saitan ari nadan
Saitan ari nadan
Saitan ari nadan
Jo aali gal bajata hai
Yahi to sara lafda hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai
Tujhe bhi ulfat paise ki hai
Yahi to sara lafda hai
Paise se insan jiye
Bin paise bukha marta hai
Chandi ke in tukdo ko to
Gadha bhi nahi chakhta hai
Gadha bhi nahi chakhta hai
Aji gadha bhi nahi chakhta hai
Kyu ullu mujhe banata hai
Yahi to sara lafda hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai
Tujhe bhi ulfat paise ki hai
Yahi to sara lafda hai
Paise hi se kapda jewar
Paise hi si thath
Pyar na ho shohar ka to
Resham bhi hai tat
Resham bhi hai tat
Resham bhi hai tat
Kyu mujhko sabak padhata hai
Yahi to sara lafda hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai
Tujhe bhi ulfat paise ki hai
Yahi to sara lafda hai
Daulat hai to dulha ho tum
Duniya hai barati
Maut ki andhi chale to daulat
Yahi dhari rah jati
Yahi dhari rah jati
Daulat yahi dhari rah jati
Kyu marne ke liye rota hai
Yahi to sara lafda hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai
Tujhe bhi ulfat paise ki hai
Yahi to sara lafda hai
Paisa paisa kya karti hai
Paisa hath ka mail
Paisa bin insan jaha me
Kolhu ka hai bail
Achha to le jata hu
Main paise lekar aata hu
Ye aaj samjh me aaya hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Ye aaj samjh mein aaya hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Duniya mein sab kuchh paisa hai
Sab paise hi ka jalwa hai.
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Mohammed Rafi
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Mohammed Rafi