Ek abr e siyaah chhaaya aa
Ek abr e siyaah chhaaya
Aa jaa mere saathhi
Teri yaad ne tadpaayaa aa
Ik kaali ghataa chhhaayi ee
Ik kaali ghataa chhhaayi
Jaane kyun dil machlaa
Aur yaad teri aayi ee
Bulbul ne machaaya shor aur
Bulbul ne machaaya shor
Nazron mein mere siwaa
Janchtaa nahin koyi aur
Ambuwaa pe koyal bole ae
Seene mein dard utthhe
Ambuwaa pe koyal bole ae
Seene mein dard utthhe
Aur meraa jiyaa dole ae
Anjaan zamaana hai ae
Anjaan zamaana hai ae
Zaalim ne mohabbat ko
Kya jaane kya jaana hai
Khushiyon ka zamaana hai ae
Khushiyon ka zamaana hai ae
Masoom nigaahon mein
Ulfat ka fasaanaa hai ae
Kyun humse nigaah pheri ee
Kyun humse nigaah pheri
Aankhon ke pardon mein
Tasveer rakhi teri ee.