Ek din hatim e tai
Se kisi ne poochha
Kyun museebat mein giraftaar
Tu rehta hai sada doosro ke liye
Kyon phirta hai mara mara
Bola kuchh aur nahin
Jaanta hun is ke siwa
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalai
Ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Chaar din ki zindagani
Aur duniya chand roz
Chaar din ki ye sarai hai
Jismein rehna chand roz
Kyon na kar jaaun jaha
Mein naam apna chand roz
Kyon na kar jaaun jaha
Mein naam apna chand roz
Ek apna amalnama
Naam-e-khudaa le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalai
Ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Maut ke toofaan mein
Insaan jab beh jaayega
Heera moti sona chaandi
Sab yahin reh jaayega
Jaate jaate jaane waala
Bas yahi keh jaayega
Jaate jaate jaane waala
Bas yahi keh jaayega
Main yaha laaya thha kya
Aur saath kya le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalai
Ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Khaaq ka putla hun main
Aur khaaq mein mil
Jaaunga beej jaise bounga
Waise hi phal main paaunga
Ab nahin socha to marte
Dam bahut pachhtaaunga
Ab nahin socha to marte
Dam bahut pachhtaaunga
Daaman-e-hasti gunaahon
Se bhara le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalai
Ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga
Jab yaha se jaaunga
Main aur kya le jaaunga.
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Mohammed Rafi