Khaamosh hai jo
Ye wo sadaa hai
Wo jo nahin hai
Wo kah rahaa hai
Saathiyon tumko mile
Jit hi jit sadaa
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Jaao jo laut ke tum
Ghar ho khushi se bhara
Jaao jo laut ke tum
Ghar ho khushi se bhara
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Kal parbaton pe kahin
Barsi thi jab goliyaan
Ham log the saath mein
Aur hausle the javaan
Ab tak chattaanon pe
Hain apne lahoo ke nishaan
Saathi mubaarak tumhein
Ye jashn ho jit kaa
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Kal tumse bichhadi hui
Mamtaa jo phir se mile
Kal phool chehraa koi
Jab tumse milke khile
Kal tumse bichhadi hui
Mamtaa jo phir se mile
Kal phool chehraa koi
Jab tumse milke khile
Paao tum itni khushi
Mit jaayein saare gile
Hai pyaar jinse tumhein
Saath rahe wo sadaa
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Jab aman ki baansuri
Goonje gagan ke tale
Jab dosti kaa diyaa
In sarhadon pe jale
Jab bhool ke dushmani
Lag jaaye koi gale
Jab saare insaano
Kaa ho ek hi kaafilaa
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Jaao jo laut ke tum
Ghar ho khushi se bhara
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha
Bas itnaa yaad rahe
Ek saathi aur bhi tha.
Sonu Nigam
Alka Yagnik
Roop Kumar Rathod
Shreya Ghoshal, Sonu Nigam