Ek zakhmi dil fariyad kare
Fairyad kare
Ek zakhmi dil fariyad kare
Fairyad kare
Kis se kiya tha pyar
Jise ro ro ke usi ko yaad kare
Haye yaad kare
Ek zakhmi dil fariyad kare
Fairyad kare
Dhokha tha agar dhokha hi sahi
Ulfat ki nazar rangin to thi
Ulfat ki nazar rangin to thi
Sache na sahi jhuthe hi sahi
Raato se magar taskin to thi
Raato se magar taskin to thi
Ek pyar bhara dil kyu roye
Duniya na agar barbad kare
Ek zakhmi dil fariyad kare
Fairyad kare
Phir aur kisi se kya shikwa
Jab sath tumhi ne chhod diya
Jab sath tumhi ne chhod diya
Nazaro ka sahara chin liya
Armaan bhara dil tod diya
Armaan bhara dil tod diya
Duniya mein kisi ki duniya ko
Yu bhi na koi barbad kare
Ek zakhmi dil fariyad kare
Fairyad kare
Has has ke kiya tha jise pyar
Jise ro ro ke usi ko yaad kare
Haye yaad kare
Ek zakhmi dil fariyad kare
Fairyad kare.
Husnlal Batish
Trilok Kapoor
Mohammed Rafi, Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)