Gham kyun ho gham kyun ho
Jeene waalo ko jeete jee
Jeene waalo ko jeete jee
Marne ka gham kyun ho
Gham kyun ho shokh labon par
Aahen kyun ho aankh mein
Nam kyun ho gham kyun ho
Aaj agar gulshan mein
Aaj agar gulshan mein kali
Khilti hai to kal murjhaati hai
Phir bhi khil kar hansti hai
Aur hans ke chaman mehkaati hai
Mehkaati hai gham kyun ho
Kal ka din kis ne dekhaa hai
Aaj ka din ham khoye kyun
Jin ghadiyon mein hans sakte hain
Un ghadiyon mein roye kyun
Roye kyun gham kyun ho
Gaaye jaa gaaye jaa
Gaaye jaa masti ke taraane
Thandi aahen bharna
Kya gaaye jaa
Maut aayi to mar bhi lenge
Maut se pehle marna
Kya marna kya
Gham kyun ho gham kyun ho
Jeene waalo ko jeete jee
Marne ka gham kyun ho
Gham kyun ho.
Lata Mangeshkar
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Lata Mangeshkar
Talat Mahmood
Lata Mangeshkar
Shamshad Begum
Asha Bhosle
Mohammed Aziz
Lata Mangeshkar, Mohammed Aziz
Asha Bhosle
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Kishore Kumar