Ik dukhiya jawani ki hai
Bas itni kahani
Ji ho gayi dushman jawani
Mein hi jawani
Hai itni kahani
Do peele peele kheto mein
Aachal ki udane
Kajal ka jhula aankho mein
Bohe teer kamane
Wo gopiya se karti thi
Bulbul ki nishane
Kismat ne uski ek na mani
Haye ho gayi dushman
Jawani mein hi jawani
Hai itni kahani
Majbooriya thi bebasi thi
Dil mein gum bhi tha
Ke ho rahi shadi
Budhape se sitam ye tha
Dulhan thi nayi naweli
Par ranjo alam bhi tha
Aake budhape ne chin li
Masum jawani
Haye ho gayi dushman
Jawani mein hi jawani
Hai itni kahani
Ummido ki lasho ki thi
Ik sej bichhai
Aur aas mein dubi hui
Nazar dar pe lagai
Darwaje pe dastak ki sada
Kano mein aayi
Sunte hi jaan kaap ithi
Aur aankhe tharrai
Aur aankhe tharrai
Socha usne lut chali hai
Ab to ye asmat meri
Socha phir wo uth khadi
Ke hai yahi kismat meri
Mehandi range hatho se
Usne liya andar sama
Chir kar sina diya
Usne kaleja yu nikal.
Lata Mangeshkar
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Mohammed Rafi
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Lata Mangeshkar