Iss raat ke sannate mein
Iss raat ke sannate mein
Main banke pavan aati hoon
Har baar chali jaati hoon
Har raat sajan aati hoon
Iss raat ke sannate mein
Iss raat ke sannate mein
Jab neend ki chaadar odhe
Saari duniya soti hain
Jab neend ki chaadar odhe
Saari duniya soti hain
Tab aadhi raat ko uth uthkar
Meri ankhiyaan roti hai
Kaante se chubhe jo dil mein
Kaante se chubhe jo dil mein
Woh banke chubhan loti hoon
Har baar chali jaati hoon
Har raat sajan aati hoon
Iss raat ke sannate mein
Iss raat ke sannate mein
Ik jism hai aur do chahere
Phir bhi hai kitane nyaare
Ik jism hai aur do chahere
Phir bhi hai kitane nyaare
Sadiyon se mil nahin sakte
Do nadiya ke do kinaare
Jaane kya sokh yeh paani
Jaane kya sokh yeh paani
Banke uljan aati hoon
Har baar chali jaati hoon
Har raat sajan aati hoon
Iss raat ke sannate mein
Iss raat ke sannate mein
Gairon ki bhul nahin hai
Yeh bhul hai apni meri
Gairon ki bhul nahin hai
Yeh bhul hai apni meri
Hai rooh bhatakti phirti
Jug jug se lagati phere
Bin laash ke jo udta hai
Bin laash ke jo udta hai
Woh banke kafan aati hoon
Har baar chali jaati hoon
Har raat sajan aati hoon
Iss raat ke sannate mein
Iss raat ke sannate mein
Main banke pavan aati hoon
Har baar chali jaati hoon
Har raat sajan aati hoon
Iss raat ke sannate mein
Iss raat ke sannate mein.
Usha Mangeshkar
Asha Bhosle
Hemlata (Lata Bhatt), Meenu Purushottam, Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
K. J. Yesudas (Kattassery Joseph Yesudas)