Jaan e chaman aaja
O gul badan aaja
Deewana mera dil tujhe de sada
Main teri aankho mein
Main teri saanso mein
Na honge meri jaan kabhi hum juda
Main teri aankho mein
Zeel mein aksar jhum ke lahre
Pahle bhi to udti thi
Lekin ye toofan na the
Badal banke rukh pe zulfe
Pahle bhi to udti thi
Lekin ye arman na the
Aaja tu baho mein pyar ki raho mein
Deewana dil tuhje de sada
Jaan e chaman aaja
Yu to kal bhi in jharno mein
Pyar ki jhanjhar bajti thi
Lekin ye nagma na tha
Yu to kal bhi in phulo mein
Jane ada tu hasti thi
Lekin ye jalwa na tha
Jalwa bhi tera hai
Nagma bhi tera hai
Na honge meri ja
Kabhi hum juda
Main teri aankho mein
Aankho ke wo paymane jo
Aankho me lahrate the
Aakhir chalakne lage
Aakhir chalakne lage
Mere dil ke afsane jo
Hotho pe rah jate the
Aakhir machalne lage
Aakhir machalne lage
Tu meri jannat hai
Meri mohabbat hai
Na honge meri ja kabhi hum juda
Na honge meri ja kabhi hum juda
Teri aankho mein
Main teri saanso mein
Na honge meri ja kabhi hum juda
Na honge meri ja kabhi hum juda.
Mohammed Rafi
Asha Bhosle
Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur