Jab dil se dil takrata hai
Jab dil se dil takrata hai
Mat poochhiye, kya ho jata hai,
Jhukti hai nazar, rukti hai zuban,
Maathe pe paseena aata hai,
Jab dil se dil takrata hai
Dekha tha tujhe ik baar kahin,
Us din se abhi tak hosh nahin,
Us din se abhi tak hosh nahin,
Phir ishq ne karwat badli hai,
Phir saamne tu hai maahjabeen,
Ab dekhiye kya kya rang naye,
Deedaar tera dikhlata hai
Jab dil se dil takrata hai
Ye husn sharabi mehka badan
Aur uspe tera ye bholapan,
Teri bhi ummeedein jaagin hai,
Kehti hai tere dil ki dhadkan,
Betaab hai tu bhi mere liye,
Andaaz tera batlata hai
Jab dil se dil takrata hai
Mat poochhiye kya ho jata hai
Mukhda na chhupa yoon haathon se
Din ko na badal ab raaton se
Din ko na badal ab raaton se
Gulshan mein bikharne de nagme,
Tu pyaar ki meethi baaton se
Ae husn ki devi aankh mila
Apnon se koi sharmata hai
Jab dil se dil takrata hai,
Mat poochhiye kya ho jata hai
Jhukti hai nazar rukti hai zubaan
Maathe pe paseena aata hai
Jab dil se dil takrata hai.
Lata Mangeshkar
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Asha Bhosle
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar