Tumhari bhi jai jai hamari bhi jai jai
Na tum hare na hum hare
Tumhari bhi jai jai hamari bhi jai jai
Na tum hare na hum hare
Safar sath jitna tha ho hi gaya tay
Na tum hare na hum hare
Tumhari bhi jai jai hamari bhi jai jai
Yaad ke phool ko hum to apne
Dil se rahenge lagaye
Yaad ke phool ko hum to apne
Dil se rahenge lagaye
Aur tum bhi hans lena jab ye
Deewana yaad aaye
Milenge jo fir se mila de sitare
Na tum hare na hum hare
Tumhari bhi jai jai hamari bhi jai jai
Waqt kahan rukta hai to phir
Tum kaise ruk jate
Waqt kahan rukta hai to phir
Tum kaise ruk jate
Aakhir kisne chand chhua hai
Hum kyun hath badhate
Jo uss paar ho tum
To hum is kinare
Na tum hare na hum hare
Tumhari bhi jai jai hamari bhi jai jai
Tha to bahut kahne ko lekin
Ab to chup behatar hai
Tha to bahut kahne ko lekin
Ab to chup behatar hai
Ye duniya hai ek saraay, jeevan ek safar hai
Ruka bhi hai koi kisi ke pukare
Na tum hare na hum hare
Safar sath jitna tha ho hi gaya tay
Na tum hare na hum hare
Tumhari bhi jai jai hamari bhi jai jai.
Sharda Rajan Iyengar
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)