Jaise suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya
Jaise suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya
Aisa hi sukh mere
Man ko mila hai
Main jabse sharan
Teri aaya mere raam
Suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya
Bhatka hua mera
Man tha koi
Mil na raha tha sahara
Bhatka hua mera
Man tha koi
Mil na raha tha sahara
Lehro se ladati
Huyi naav ko
Lehro se ladati
Huyi naav ko
Jaise mil na raha ho kinara
Mil na raha ho kinara
Us ladakhadati
Hui naav ko jo
Kisi ne kinara dikhaya
Aisa hi sukh mere
Man ko mila hai
Main jabse sharan
Teri aaya mere raam
Suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya
Sheetal bane aag
Chandan ke jaisi
Raghav kripa ho jo teri
Raghav kripa ho jo teri
Ujiyali punam ki
Ho jaaye rate
Jo thi amavas andheri
Ujiyali punam ki
Ho jaaye rate
Jo thi amavas andheri
Jo thi amavas andheri
Yug yug se pyasi
Marubhumi ne
Jaise savan ka sandes paya
Aisa hi sukh mere
Man ko mila hai
Main jabse sharan
Teri aaya mere raam
Suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya
Jis raah ki manzil tera
Milan ho
Us par kadam main
Badhau
Jis raah ki manzil tera
Milan ho
Us par kadam main
Badhau
Phulo mein kharo mein
Patajhad baharo mein
Main na kabhi
Dagamagau
Phulo mein kharo mein
Patajhad baharo mein
Main na kabhi
Dagamagau
Main na kabhi
Dagamagau
Pani ke pyase ko
Taqdeer ne
Jaise ji bhar ke amrit pilaya
Pani ke pyase ko
Taqdeer ne
Jaise ji bhar ke amrit pilaya
Aisa hi sukh mere
Man ko mila hai
Main jabse sharan
Teri aaya mere raam
Suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya
Aisa hi sukh mere
Man ko mila hai
Main jabse sharan
Teri aaya mere raam
Suraj ki garmi se
Jalte huye tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaya.
Rajendra Mehta
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey), Vani Jairam