Jawani ki kahani bhi ajeeb hai
Jawani ki kahani bhi ajeeb hai
Wahi jane jo iske karib hai
Jawani ki haye haye
Jawani ki kahani bhi ajeeb hai
Jab laga solhwa to ho gaya kamal
Angdayi aane lagi hua abura hal
Ankhiya gulbai hui gore hue gal
Hoth bina surkhi ke hue lal lal
Jawani ki kasam hairan ho gayi
Sabki nazar beimaan ho gayi
Aashiqo se mai to pareshan ho gayi
Kis buri ghadi me jawan ho gayi
Mera har koi banta habib hai
Jawani ki haye haye
Jawani ki kahani bhi ajeeb hai
Koi mujhe dekh ke rumal fekta
Sitiya bajake koi maal fekta
Pyar ke sunhare koi jaal fekta
Jo bhi fekta hai wo kamal fekta
Har koi ek hi sawal puchhta
Hai mere liye tera kya khayal puchhta
Aake mere pas mera hal puchhta
Konsa laga hai tujhe saal puchhta
Mil gaya mera tujhse naseeb
Jawani ki haye haye
Jawani ki kahani bhi ajeeb hai
Jawani ki kahani bhi ajeeb hai
Wahi jane jo iske karib hai.
Asha Bhosle
Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle
Mohammed Rafi
Om Prakash Sharma