Nazo se pali gule gulfam
Husn ka agaz ishk ka anzam
Aa rahi hai aapki khatir
Banaras ki subah lucknow ki sham
Chadti jawani ubharata sabab
Karega zamane ki niyat kharab
Kayamat uthegi giregi bijliya
Uthega jo chehre se ishqe nakab
Hum salam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Ye zindagi ye dil tumhare naam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Tera husn jise pe fida ho gaya
Khuda ki kasam wo khuda ho gaya
Tumne hamare pyar ko manzur kar liya
Tumne hamare pyar ko manzur kar liya
Ek zarra aye nawaze ka aye janab sukriya
Aye janab sukriya khidmat me
Khidmat me pesh nazro ke jaam karte hai
Khidmat me pesh nazro ke jaam karte hai
Ye zindagi ye dil tumhare naam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Apne ka na raha begane ka na raha
Dil jisne bhi lagay wo zamne ka na raha
Chahat me ab zamane ki parwah kijiye
Chahat me ab zamane ki parwah kijiye
Hum jan bhi luta denge mauka to dijiye
Mauka to dijiye logo ko kya
Logo ko kya hai log to badnam karte hai
Logo ko kya hai log to badnam karte hai
Ye zindagi ye dil tumhare naam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Husn ki shama jalne lagi hai
Bachke reh na parwano
Hosh udane aayi hai yeh
Hosh mein reh na deewano
Shama se jo takraye jal ke khak ho gaye
Shama se jo takraye jal ke khak ho gaye
Khak ho gaye koi kisi ke
Darde dil ko manta nahi
Hum jal rahe hai aag me tu janta nahi
Parwane teri mat ka farman laye hai
Shama hamara nam hai pahchanta nahi
Shama se jo takraye jal ke khak ho gaye
Namo nishan bhi na raha yu rakh ho gaya
Parwano ka hum aise katle aam karte hai
Parwano ka hum aise katle aam karte hai
Ye zindagi ye dil tumhare naam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Mehfil me aane walo hum salam karte hai
Hum salam karte hai hum salam karte hai.
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Mohammed Rafi
Om Prakash Sharma