Jab bhi dohayi gayi
Tere karam ki dasta
Jhuk gaye sajde me tera
Naam lekar do jaha
Jisko us malik ki rahmat ka
Sahara mil gaya
Usko manzil mil gayi
Usko kinara mil gaya
Jisko us malik ki rahmat ka
Marde momin ne kaha
Allahu akbar jis ghadi
Ban gayi faulad ki zanjeer
Phulo ki ladi
Tur par dekha tha musa ne
Jise wo kaun tha
Wo kaun tha
Ruk gaya toofan
Ruk gaya tufan mauje ban gayi
Khud na khuda
Khud na khuda
Khud na khuda
Nuhu ki kashti ko jab
Uska ishara mil gaya
Usko manzil mil gayi
Usko kinara mil gaya
Jisko us malik ki rahmat ka
Aye khuda ke nek bande
Bukh me kurani na bhul
Hazarat ibrahim ke bete ki
Kurbani na bhul
Rahe hakime momino ka
Naam zinda ho gaya
Kufar jab had se badha
Kufar jab had se badha
Islam zinda ho gaya
Islam zinda ho gaya
Islam zinda ho gaya
Ho gaya zinda
Jise uska ishara mil gaya
Usko manzil mil gayi
Usko kinara mil gaya
Jisko us malik ki rahmat ka
Sar nago hai maszide
Teri mukaddar ki rah mein
Jagmagata hai tera hi
Naam har dargah mein
Tu hai rabbul aalmi
Makke madine ki kasam
Tere dar par ruk gaye hai
Tere dar par ruk gaye hai
Har namazi ke kadam
Har namazi ko tere
Dar ka sahara mil gaya
Usko manzil mil gayi
Usko kinara mil gaya
Jisko us malik ki rahmat ka.
Meena Patki
Jaani Babu Qawwal, Mohammed Rafi
Meena Patki