Jo sirf khushi ka mol kare
Jo sirf khushi ka mol kare
Wo dost nahi saudagar hai
Jo apne hi jine pe mare
Jo apne hi jine pe mare
Wo dost nahi saudagar hai
Jo sirf khushi ka mol kare
Sukh aata hai to apne sang
Apne sathi le aata hai
Sukh aata hai to apne sang
Apne sathi le aata hai
Hai kaun kaha tak ka humdum
Dukh hi to hame batlata hai
Sukh me sang or dukh se dare
Sukh me sang or dukh se dare
Wo dost nahi saudagar hai
Jo sirf khushi ka mol kare
Hum aisa sathi dhundte hai
Jo hamko gum ka meet kahe
Hum aisa sathi dhundte hai
Jo hamko gum ka meet kahe
Gum use ho or dard mujhe
Neer uska meri aakho se bahe
Jo hath fakat kandhe pe dhare
Wo dost nahi saudagar hai
Jo sirf khushi ka mol kare.
Hemlata (Lata Bhatt), Suresh Wadkar
Hemlata (Lata Bhatt)