Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae
Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae
Wo bandhi kya chhute
Wahi pe jie vahi mar jaae
Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae
Wo bandi kya chhute
Wahi pe jie vahi mar jaae
Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae
Jin pe chal na paae
Zajiro ki joraa-zori
Jin pe chal na paae
Zajiro ki joraa-zori
Unako khich ke le aae
Kachchi resham ki dori
Kisi ne sach hi kahaa hai ki
Do hi baato ke bich
Man kaa mit ban jaae
Do hi baato ke bich
Man kaa mit ban jaae
Wo dushman jo bade-bado ke
Kabhi haath na aae
Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae
Aisaa bhi aataa hai koi
Ek pavan ka jhoka
Aisaa bhi aataa hai koi
Ek pavan ka jhoka
Gangajal pe bhi ho jaata hai
Madiraa kaa dhokhaa
Kisi ne sach hi kahaa hai ki
Jhuthe waade ke saath
Jise tod diya jaae
Jhuthe waade ke saath
Jise tod diya jaae
Wo bandhan kyaa jude jude to
Jude gaath pad jaae
Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae
Man mandir me teri murat
Jivan teri puja
Man mandir me teri murat
Jivan teri puja
Meraa tere dwaar binaa
Pritam naahi ghar dujaa
Kisi ne sach hi kahaa hai ki
Sachche naate ke saath
Jise prem kiyaa jaae
Sachche naate ke saath
Jise prem kiyaa jaae
Wo bandhi kyaa ude
Ude to ude laut kar aae
Kachche dhaage ke saath
Jise baandh liyaa jaae.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Hemlata (Lata Bhatt), Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar